Jaan pahchan ka ek ajnabi,
dil ke shahar me rahta hai !!
Diwangi ke shahar ki ek maatr taswir,
aansu ke lahar me bahti hai !!
Samay ki dhara me dubte-uterte,
halat ke aandhi me kismat roti hai !!
Aasman ki ruphali chandni me,
ghar ki char-diwari dikhti hai !!
Tufan me, andhkar me, ulfat ki har me,
Tamam iljam ke bawjood dil me rahti hai !!
Bahwnaoo me bahna Koi bimari to hai nahi,
Dil-dimag ke ird-gird khusboo bikhri rahti hai !!
Kuch nahi in aakho me, bas udasi chhayi rahti hai,
Neend se jab jaag jaayenge, Madhoshi chhayi rahti hai !!
Monday, 30 March 2009
Monday, 16 March 2009
Dil ka Dard
jaise hi jooth ka parda-phas hua,
baadlo se bhara aakash saaf hua !!
jin baato ko khwab me socha tha,
roo-baro un baato se mai aaj hua !!
mana dil ka dard aaur badh gaya,
par aaj ek nayi jang ka aagaz hua !!
bahut itrata dil, apne nasib par,
aaj pata chala "nazar" ye to majak hua !!
bahut khush tha dil chand dilo ke saath se,
par ab dil tamam umar ke liye naraz hua !!
wo kahta tha dosto faulad hai,
par aaj is jooth ka jaal saaf hua !!
socha tha is baar na hoga dhokha,
kambakht is bar bhi kya itfaaq hua !!
baadlo se bhara aakash saaf hua !!
jin baato ko khwab me socha tha,
roo-baro un baato se mai aaj hua !!
mana dil ka dard aaur badh gaya,
par aaj ek nayi jang ka aagaz hua !!
bahut itrata dil, apne nasib par,
aaj pata chala "nazar" ye to majak hua !!
bahut khush tha dil chand dilo ke saath se,
par ab dil tamam umar ke liye naraz hua !!
wo kahta tha dosto faulad hai,
par aaj is jooth ka jaal saaf hua !!
socha tha is baar na hoga dhokha,
kambakht is bar bhi kya itfaaq hua !!
Subscribe to:
Comments (Atom)