Tuesday, 2 December 2008

Wo cherha

Ek chehra jo ,
Bhata hain, 
Har pal nazar,
Aata hain.
Ek rishta ,jo tut kar,
Aaur gahra jata hai.
Wo ek pal jo , 
Har pal jine ka karan hain.
Aapki yaad ,
usi pal ka udahran hai.

Marne ki icha ,
Milne ki khwahish hai,
Par mere hamdam ko,
Humi se khalish hai.

Kah to deta ,
Ki tu har sai me nazar aata hai,
Par unhe hamara gam hi bhata hai.
Par unhe hamara gam hi bhata hai.
Bhar na jaye jakhm,
Milne se dil katrata hai,
Mera sanam jakhm me nazar aata hai.
Mera sanam jakhm me nazar aata hai.

Badlo ke piche,
Lal gaaw me,
Ghae peer ki ,
Ghani chhaw me,
Chand ki faili,
Chandni me,
Tanha tanha,
Ragini me,
Chadar ki,
Silwato me,
Lahrati lato me, 
Thahre palo me, 
Yaad aata hai,
Wo bhinga- bhinga lamha.
Wo har baat jo thi panha.
Wo talab me failta tarang
Wo har pal jo guzare tanha .
Yaad dilata hai.
Muskurana,
Lazana,
Sakuchana,
Tadpana,
Aaur sharmana,
Aab yaad aata hai,
Aab yaad aata hai,
Bas yaad hi to aata hai,
Tumhara chehra!!

khwahish

garam tabe par barf ki bund,
dil ke jakhmo par ashk ki bund.
 
kya nasib hai apna saki,
hamse acche arak ki bund.
 
pasand unhe hai tursi chize, 
kash hum hote turs ki bund.
 
tohmat hai humpar hade-ulfat ka,
nahi hai unme ishq ki bund.
 
laye hai wo maut ka samaam,
gird padi hai taskin ki bund !
 
guzar hi jate had se aage,
par rah khada tha ilmi khoon !
 
paas hai bas ek sitara,
wo hai, unke dard ki bund !
 
door khada kya dekh raha mukaddar,
takdir me nahi sabnam ki bund !
 
rausan tha jaha, askar me jaha,
khwab me hai wo, farsh ki bund !

Gazal

dil ki kitab ko ek naya aayam mila,
mere hotho ko ek naya naam mila!
 
naam jisme mere sare gam samil,
aaur bahakte kadmo ko ,ek aaur jaam mila !
 
yun to jine ki tamanna nahi rahi,
par karne ko ek aaur kaam mila !
 
dil ki kitab me najm to the,
par un najmo ko aaj unwaan mila !
 
sab kuch to tha, siva sukh ke,
par aaj kuch, muskurane ka samaan mila !
 
jindgi bas jee raha tha,
par,jindgi ko aaj armaan mila !

Khyal Apka

har sab me aata hai khyal aapka,
har say me hai ,andaz aapka !
 
jawab talashte, umar kati apni,
kuch yun tha, sawal aapka !
 
majhdhar me hi naw paar kar li hoti,
par le duba hume, malal aapka !
 
har pal aapka, hamari tabahi me guzre,
khusiyo se bhara ho har, saal aapka !
 
kisse poocho aaur kaun bataye,
bas hamari tarah na ho, haal aapka !
 
surkh hotho me gulab ki khusboo,
aaur gaal me hai, gulal aapka !
 
kaho to bata do tare hai kitne,
sab bayan kar raha hai, baal aapka !

Dard

Samay sui sa chubh raha hai,
sansanati hui hawayee,
jab darwaje par dastak deti hai,
to lagta hai,
kahi wo aa to nahi gaye !

chiti sa rengta samay,
ret par chhap chhorta jata hai,
aaur,
kisi ke saparsh ,
ki thandi aahat,
aakho ki nami ko pi jati hai !

samay piche daud raha hai,
par hum apni jagah par,
us aahat ko yaad karte hai,
jo kabhi hawa ke saparsh se,
mujhe tumhare pass hone ka ,
ehsas karati thi !

haan,
mujhe yaad hai,
mera nasib,
wo hizar ki raat,
wo aakho ki nami,
wo intzaar,
aur wo chehra,
kuch nahi badla hai,
bas badla hai ,
to ,
samay jo kabhi lautta nahi

mere jivan me ,
bas suraj dubta hai,
mere ghar ke samne,
kya,
kabhi suraj ugega ,
jaha duba tha,
nahi waha to wo,
dubega , dubega,
aaur
dubta rahega !

raat ka chand

raat ka chand hai udas jara jara,
maan me mere hai pyas, jara -jara !
 
rah- rah tare bhi kapte hai,
jakhm bhi hai abhi ,hara- hara !
 
kyun aakhir dard ko ahbab banaou,
jab mil raha hai jahar, jara- jara !
 
kaatoo ka bistar,phoolo ki chadar,
tasbabar me hai abhi hai sab kuch , naya -naya !
 
samjhate the sabhi yaar yagane mujhko,
sunta tha kewal unko, khada -khada !
 
acha hua maut na mili,
warna, kabar me afsos karta, pada- pada !
 
khwab ki chadar palko par thaharti nahi,
karwat badalta hoon bistar par, pada -pada !
 
yaad me guzarta hai, har lamha hamara,
kash unhe bhi hum aa jate yaad, jara-jara !
 
koi pukarta hai to chauk jata hoon,
par pathar nahi pighalta ,pada-pada

gahri chhap

kichad me gira, utha, fir chala,
par chap ban gayi,
picha nahi chora,
chora, par kuch samay baad!
 
pani me gira,utha, fir chala,
chhap bani, par fir picha chhot gaya !
 
bhautikta chut hi jati hai,
jo dikhta hai, sayad dikhta nahi !
 
teri yaad me duba, na ki gira, 
utha,
fir chala,
par chhap,
 aaj sadiyo bad bhi ban rahi hai,
bhautikta chhut hi jati hai,
par aatmiyata,
marne par bhi nahi jati hai !
 
gahri chhap ban hi jati hai !

intzaar

bas intzaar ho raha hai,
aaur tab tak hota rahega,
jab tak intzaar khatm nahi ho jata !
 
  samay tan kar ,
  subah ki parchhyi ban jati hai,
  aaur raat ,
  raat aakhe miche padi rahti hai!
  jaise kuch dekhna hi nahi chahti !
  daudte daudte ghari ki suiyaa bhi,
  ulti chalne lagti hai ,
  aisa hota hai bharam intzaar ka.
 
sandeh nahi,
tab ubaou lagta hai ekant,
rengta hua balu par,
apni chhap chorta hua !
sannata har taraf,
lagta hai bas,
apni hi awaj laut kar aa rahi hai !
 
aaur baar baar kahti hai ,
janti ho kya kahti hai,
tum bahut piche rah gaye,
bahut piche,
itna piche,
ki aab aage nikalne ke liye langhni hogi wo dahliz,
jise hum saamaj kahte hai,
aaur tab mai mar jata hoon,
jane kitni martaba mara ,
ab har wo chiz jise kayde se rakhni chiyhe ,
use maine bandh diya hai !

wo awaz

ye khuda tu bata,
  us awaz ka chehra , 
  us awaz ki khusboo,
  us awaz ki muskurahat,
 kaisi hai !
 
us hasin ne ye kya,
jadu kiya !
 
meri bhingi aaakho ne, 
mere tanha khwabo ne ,
kyu ek jindgi ko,
janm diya hai !
 
he duniya ke mlik,
  dekh to uska chehra,
  us hotho ki muskurahat,
  un aakho ki jagmagahat,
kaisi hai !
 
tu to meri dhdkane sun raha hai!
 
wo reshmi awaz,
  jisme bas khusboo hi thi,
  jisme duniya ka har rang tha,
  jisme bas umang thi,
  aaur jo bas apna sa tha !
ye khuda tu bata ,
wo kaisi hai !
 
mai hawao se poochta hoon,
tumhari muskurahat kaisi hai,
har lamha chauk jaaou,
tumhari aahat aisi hai !

Mai kaun hoon

mere jehan ne kiya ,
mujhse ek sidha sa parsan,
kaha usne jawab do,
fir manate rahna, khwabo ka jasan !
sidha sa parsan kiya,
mai kaun hoon ?
chubh sa gaya parsan,
antardawand me fas gaya maan,
khoob socha to laga,
bina aag ho jaaounga bhasam !
kho gaya mai na jane ,
kaha ?
kyu ?
nahi mila is parsan ka hal ,
aaur, 
aab mai maun hoon,
aakhir mai kaun hoon !
aakhir mai kaun hoon !
mai kaun hoon !